Class 10th me top 🎩 kaise kre
📘 Class 10th Board Exam 2026: Top 10 Tips Toppers Follow Karte Hain!
Agar aap Class 10 ke student hain aur 2025 ke board exams me achhe marks lana chahte hain, to yeh blog aapke liye hai. Yahan hum batayenge woh 10 secrets jo har topper follow karta hai!
---
1. Syllabus ko Smart Tarike Se Padho
CBSE ya Bihar Board ka syllabus PDF download karo. Har subject ke important chapters pe focus karo.
2. NCERT ko Line-by-Line Padho
Chahe Science ho ya Social Science, NCERT books hi board exam ka main base hoti hain. Sab kuch wahi se aata hai.
3. Har Roz Ka Time Table Banao
Ek study routine set karo. Daily 6-7 ghante padho, lekin breaks lena na bhoolo.
4. Notes Khud Likho
Apne handwriting me short notes aur formula sheets banao. Revision ke time yahi madad karenge.
5. Happy rho
🤗🤗🤗☺️🥰🥰🥰🥰....
6. Study Videos Aur Animation Ka Use Karo
Science aur Maths ke tough topics ke liye Youtube par visual content dekho — samajhne me aasan hota hai.
7. Previous Year Papers Solve Karo
Pichhle 5 saal ke papers karo. Isse exam pattern, time management aur confidence sab milega.
8. Tension Mat Lo, Relax Raho
Stress lene se yaad bhi nahi hota. Roz thoda walk karo, music suno ya halka exercise karo.
9. Doubts Ko Turant Clear Karo
Chahe teacher ho ya YouTube — apne doubts ko kabhi pending mat rakho.
10. Apne Upar Vishwas Rakho
Topper banna sirf padhe-likhe se nahi, lagan aur self-belief se hota hai. Aap bhi kar sakte ho!
---
👉 Agar aapko yeh blog pasand aaya ho, to share karein aur apne doston ko bhi motivate karein!
Comments
Post a Comment